Haalat-e-majboor
Yaar Sab khair mere laapata haii,
Dushmano ki dosti Mujhe zinda rakhtii haii.
Sahra ki hawa mujhe beemar kartii haii,
Ab ye awargii Mujhe zinda rakhtii haii.
Laut aata hoon firr se ghamon ki dukan mein,
Kashish-e-becharghii Mujhe zinda rakhtii haii.
Mahboob ki inayat se bhi kharij hoon,
Aas-e-raham-e-ilaahi Mujhe zinda rakhtii haii.
Subah ke suraj ki Mujhe ummed nahi,
Garmi-e-yaad-e-maazii Mujhe zinda rakhtii haii.
Jo mila toh puchunga maut se,
Kya saza-e-safar-e-zindagi Mujhe zinda rakhtii haii?
Comments
Post a Comment